Thursday, 19 January 2017

cow and buffalow ka doodh kaise badaye full jankari

Dosto jayadatar gao me buffalo and gaaye hoti hai.jayadatar log pashu palan karte hai .aaj ki meri ye post isi vishey par hai ki gaye aur buffalow ka palan posan kaise kare and kaise unka doodh jayada se jayada liya jaye to dosto mai apko iski puri jankari deta hu...

cow ans buffalo ka doodh kaise badate hai ?

cow ko hamesha acha chara dena chahiye usko adhik postic tattav wali feed deni chahiye agar cow ka doodh badana chahte hai to apko two time usko achi kisam wali feed de .mai Neeche kuch achi kisam ke feed ke naam bata Raha hu
1.Tara feed

2.Goka feed

3.cattle feed

4.vishal feed

Aur bhi bahut sari feed hai jo doodh dene wale pashuyo ke liye aati hai jinka paryog aap kar sakte hai

Khane ke sath sath apko gaaye ya buffalo ki Health ka bhi pura dhayan Rakhna hoga .Ek healthy pashu hi jayada doodh dene me saksham hai.gaye ka doodh badhane ke liye apko uski sehat ka pura khayal Rakhna Hoga.Jab bhi apko lage ki vo thik nhi hai to Turant Doctor ko bulaye Aur Uska ilaaj karvaye.

Jayada Rasayenic dawaiyo wala chara pashu ko na de.usko vo chara de jo acha ho jaise ki ghaas ya fir vo jisko desi Roodi ki khaad di gayi ho vo gaye Aur buffalo ke liye behtar hai.

Gaye Aur buffalo ka doodh badane ke liye aap khal ka bhi paryog kar sakte hai khal ko bhigo kar gaye aur buffalo ko khilaye Ye khuraak bhi pashuyo ke liye Achi hai

Sabse jayda baat ye hai ki apko pashu ki khuraak ke liye pashu centre se bhi salah leni chahiye kyoki pashu alag alag nasal ke hote hai
Agar apko dusri koi bhi jankari chahiye to aap ye link follow kar sakte hai www.besthelpworld.com

To dosto in baaton ka khayal rakhna bahut jaruri hai pashu ka doodh badane ke liye.Acha doodh prapt karne ke liye.Agar apko Aur koi jankari chahiye to neeche comment kar sakte hai aur is post ko share jarur kare


No comments: